har-chand meri quwwat-e-guftar hai mahbus khamosh magar tab-e-khud-ara nahin hoti mamura-e-ehsas mein hai hashr sa barpa insan ki tazlil gawara nahin hoti nalan hun main bedari-e-ehsas ke hathon duniya mere afkar ki duniya nahin hoti begana-sifat jada-e-manzil se guzar ja har chiz saza-war-e-nazara nahin hoti fitrat ki mashiyyat bhi badi chiz hai lekin fitrat kabhi be-bas ka sahaara nahin hoti