tha bahut shor yahan ek zamane mein mera ab koi aks nahin aaina-khane mein mera rah se aankh milane ka hunar jaan gaya waqt to sarf hua khak udane mein mera apni yakjai se tanhai se pura na hua jitna nuqsan hua shahr basane mein mera jaanta hun ki use meri zarurat hi nahin warna kya jata bhala laut ke aane mein mera dad kya kya na harifon se mujhe milti rahi han magar ji na laga sher sunane mein mera koi tazir ki main ne bhi mohabbat ki hai kuchh to hissa hai ye tahrik chalane mein mera apne kirdar se insaf kiya hai main ne aur kirdar nahin koi fasane mein mera