har-dam taraf hai waise mizaj karakht ka tukda mera jigar hai kaho sang sakht ka sabzan in ru ki jahan jalwa-gah thi ab dekhiye to wan nahin saya darakht ka jon barg-ha-e-lala pareshan ho gaya mazkur kiya hai ab jigar lakht lakht ka dilli mein aaj bhik bhi milti nahin unhen tha kal talak dimagh jinhen taj-o-takht ka khak-e-siyah se mein jo barabar hua hun 'mir' saya pada hai mujh pe kaso tira-bakht ka