jate jate rah mein us ne munh se uthaya junhi parda rah ke jaane walon ne bhi munh us ka phir phir ke dekha qais mile to us se puchhun kya tere ji mein aai diwane shahr ko tu ne kis liye chhoda kyun ke khush aaya tujh ko sahra subh se le kar sham talak yan ye wo gali hai jis mein phiren hain chaak-gireban mu-e-pareshan hum se hazaron aashiq-e-ruswa us ne maza kya paya hoga do chullu mai pine ka yan jis mai-kash ke hath na aaya ghabghab-e-saghar saad-e-mina sokhtagi ne gham ki asar jo dil mein kiya hai hone laga hai thoda thoda rang dhuen ke sabza hamari khak se paida ek thokar mein murde hazaron uth baithen hain gor se wohin leta hai wo waqt-e-kharamash panw se apne kar-e-masiha jate hain na kisi ke ghar hum aur na koi kuchh deta hai hum ko qata kiye hain hum ne donon pa-e-talab aur dast-e-tamanna aankh ladana samne aana munh dikhlana aur chhup jaana ye bhi ada hai koi zalim man khuda ko mat de iza 'mushafi' is dilchasp zamin mein taba kare gar teri rasai khama tera kuchh kund nahin hai ek ghazal tu aur bhi likh ja