har ek chiz mayassar siwae bosa hai aur apne gham ka sabab iltawa-e-bosa hai bhale to lagte hain inkar-e-bosa par bhi ye hont kabhi to ye kaho ye lab barae bosa hai mere qarib se honton ko mat guzar itna ki chal rahi mere sar mein hawa-e-bosa hai chhupaya kar nahin honton ko muskuraate hue ye ja-e-sharm nahin hai ye ja-e-bosa hai lab-e-khamosh pe bhi hai mere hi kaam ka harf meri murad ye bhi hai jo pa-e-bosa hai samajh mein kuchh nahin aata ki bolti ho kya labon pe khelti phirti nida-e-bosa hai yahi na chhod ke ja tishna-kaam honton par ki ye to bosa-e-sahw-e-qaza-e-bosa hai tumhaari khush-dahni se hai asl mein sarokar ye lab ka bosa to bas ibtida-e-bosa hai bas ek bosa-e-subh aur ek bosa-e-sham! faqir-e-bosa hun aur iltija-e-bosa hai laban-e-bosa-chashida bhi khub hain lekin nigah mein ek but-e-nakhuda-e-bosa hai