mohabbat se mukar jaana zaruri ho gaya tha

mohabbat se mukar jaana zaruri ho gaya tha
palat ke apne ghar jaana zaruri ho gaya tha

nazar-andaz karne ki saza deni thi tujh ko
tere dil mein utar jaana zaruri ho gaya tha

main sannate ke jangal se bahut tang aa gai thi
kisi aawaz par jaana zaruri ho gaya tha

main sassi ki tarah soti rahi aur chal diye tum
bata dete agar jaana zaruri ho gaya tha

taaqub khud na karti to mere aansu nikalte
main kya karti 'qamar' jaana zaruri ho gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close