har ek dagh-e-dil shama san dekhta hun teri anjuman zau-fishan dekhta hun tayyun se aazad hain mere sajde jabin par tera aastan dekhta hun fareb-e-tasawwur hai qaid-e-qafas hai har ek shakh par aashiyan dekhta hun main rah-e-talab ka hun pasmanda rah-raw ghubar-e-rah-e-karwan dekhta hun ba-andaza-e-zauq-e-iza-pasandi use aaj main mehrban dekhta hun pila kar mujhe mahram-e-hosh rakkha ye eajaz-e-pir-e-mughan dekhta hun meri zindagi mahram-e-gham hai 'tabish' nafas ko ba-rang-e-fughan dekhta hun