har ek dil yahan hai mohabbat se aari tumhin ko mubarak ye duniya tumhaari unhen hum se badh ke hai ghairon ki parwa nibahenge kab tak hamin waza-dari raha hai yahan par na koi rahega jo hai aaj us ki to kal apni bari abhi tak na badli mohabbat ki qismat abhi tak mohabbat mein hai be-qarari qadam-ranja farma rahe hain wo aakhir khabar la rahi hai ye baad-e-bahaari qasam hai ye tum ko na aansu bahana kabhi yaad aae jo tum ko hamari na badla na badla hasinon ka shewa wahi tir-o-nashtar wahi dil-figari hun mamnun-e-ehsan khuda jaanta hai hai shamil tabiat mein bhi sharmsari tere 'soz' ki yun basar ho rahi hai na ghairon se matlab na apnon se yari