hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-khud-arai tamasha rah gaya ban kar jahan ka har tamashai bahaaren hi hua karti hain tamhid-e-khizan aksar wahan barson raha matam jahan pal bhar khushi aai bahar-surat qayamat hai wo aaen ya chale jaen jo aae to sukun chhina gae to jaan tadpai kali chatki na gul mahke na ghunchon par nikhaar aaya ajab andaz se ab ke gulistan mein bahaar aai jahan mujh ko nazar aaya koi naqsh-e-qadam un ka wahin ek dam tadap uttha mera zauq-e-jabin-sai ye kya tarz-e-musawat-e-jahan hai aadil-e-mutlaq kahin aahen nikalti hain kahin bajti hai shahnai meri khalwat mein lakhon aarzuen jalwa-farma hain kahin mahfil se badh kar hai meri ai 'barq' tanhai