har ek gam pe ek but banana chaha hai jise bhi chaha bahut kafirana chaha hai hazar qism ke ilzam aur khamoshi talluqat ko yun bhi nibhana chaha hai girae jaane lage hain darakht har jaanib ki main ne shakh pe ek aashiyana chaha hai hai kyun adawat-e-aghyar hi ka zikr yahan chaman to ahl-e-chaman ne jalana chaha hai hisar-e-nafrat-e-daur-e-jadid mein dil ne mohabbaton ka purana zamana chaha hai khudaya dasht-nawardi ka shauq hai kis ko musafiron ne faqat aab-o-dana chaha hai chaman mein phul 'tasawwur' khilen har ek jaanib isi sabab se to sahra basana chaha hai