KHush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha

khush-fahmiyon ko ghaur ka yara nahin raha
tufan ki zad se dur kinara nahin raha

badh badh ke dhundhte hain panahen nai nai
fitnon ko tirgi ka sahaara nahin raha

bita bayan baha-e-tamanna badha gain
naqd-e-sukun ganwa ke khasara nahin raha

baqi tha jis ke dam se bharam ehtiyaj ka
himmat ko wo karam bhi gawara nahin raha

nazan hai apni fath pe is tarah maut aaj
jaise koi hayat ka mara nahin raha

khurshid inqalab ka aaina ho to ho
mizhgan se gir ke ashk sitara nahin raha

'yaqub' lamhe lamhe se zahir hai be-rukhi
sahil-nawaz waqt ka dhaara nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close