har ek ghar ka daricha khula hai mere liye tamam shahr hi daman-kusha hai mere liye har ek tarshe hue jism mein hai aanch teri har ek but-kada aatish-kada hai mere liye bala-e-jaan hain ye gahraiyan samundar ki azab ishrat-e-qatra bana hai mere liye main ek khel samajhta tha dard-e-ulfat ko tamam umr ka ab ratjaga hai mere liye bhigo bhigo gaya baadal kisi ki zulfon ka sitam-zarif ye kali ghata hai mere liye