wo be-niyaz shab-o-roz-o-mah-o-sal gaya ab us ke gum-shuda hone ka ehtimal gaya wo ek khayal ki har-dam jahan khayal gaya kabhi azab mein rakkha kabhi sambhaal gaya jo shahr-e-lafz-o-maani se dur dur raha wo be-hunar teri galiyon se ba-kamal gaya hudud-e-waqt se aage udan bharte rahe amir-e-waqt ka mansab gaya jalal gaya hamein to rut ke badalne ki kuchh khabar bhi nahin hum apni nind se jage to har malal gaya asir-e-shab wo raha umr-bhar magar is bar utha to khak se suraj kai uchhaal gaya na jaane kis ko wo aawaz deta rahta hai kabhi jo puchha to wo shakhs hans ke tal gaya udas udas hai ab bhi 'shoeb' fasl-e-murad umid umid mein lagta hai phir ye sal gaya