har ek goshe mein rang-e-bahaar dekha hai meri nigah ne jalwa hazar dekha hai sabhi to jalwa-e-jaanan ka kar rahe the gila nigah-e-lutf-o-karam kis ne yar dekha hai hum un ki bazm se mayus uth gae lekin nigah-e-husn ko aaina-dar dekha hai kali kali mein gulistan mein fitrat-e-gul mein kahan kahan na dil-e-be-qarar dekha hai gawahi dete hain rah rah ke aaj ai 'talib' falak ke chand-sitaron ne pyar dekha hai