har ek jawab ki tah mein sawal aaega gae yugon ke buton ka zawal aaega hunar ka aks bhi ho aaina bhi ban jao phir us ke baad hi rang-e-kamal aaega harif-e-jaan hai agar wo to phir kaho us se gai jo jaan to dil ka sawal aaega yaqin hai ki milega uruj hum ko bhi yaqin hai ki tera bhi zawal aaega abhi ummid ko mayusiyon ka rang na de thahar thahar abhi us ka khayal aaega usi ke shah pe bujhega charagh-e-dil 'adil' nihan khulus mein jo ishtial aaega