nahin koi khabar karna nahin hai hamein kuchh bhi asar karna nahin hai bahut hi khubsurat zindagi hai magar aasan basar karna nahin hai hawa ko rasta gar mil bhi jae charaghon par asar karna nahin hai gharaunde hi mein apne laut jaun ki khud ko dar-ba-dar karna nahin hai hazaron raste to muntazir hain takhayyul mein safar karna nahin hai lubhate hain nae paude hamein bhi magar sab ko shajar karna nahin hai hain ab bhi ishq ki baaten gawara lahu dil ko magar karna nahin hai agar hai zindagi se pyar 'adil' muhim koi bhi sar karna nahin hai