jahan bhar ki tamam aankhen nichod kar jitna nam banega ye kul mila kar bhi hijr ki raat mere girye se kam banega main dasht hun ye mughaalta hai na shairana mubaalagha hai mere badan par kahin qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banega hamara lasha bahao warna lahad muqaddas mazar hogi ye surkh kurta jalao warna baghawaton ka alam banega to kyun na hum panch sat din tak mazid sochen banane se qabl meri chhati his bata rahi hai ye rishta tutega gham banega mujh aise logon ka tedh-pan qudrati hai so e'tiraaz kaisa shadid nam khak se jo paikar banega ye tai hai kham banega suna hua hai jahan mein be-kar kuchh nahin hai so ji rahe hain bana hua hai yaqin ki is raegani se kuchh aham banega ki shahzade ki aadaten dekh kar sabhi is par muttafiq hain ye jun hi hakim bana mahal ka wasia raqba haram banega main ek tartib se lagata raha hun ab tak sukut apna sada ke waqfe nikal is ko shurua se sun ridham banega safed rumal jab kabutar nahin bana to wo shoabada-baz palatne walon se kah raha tha ruko khuda ki qasam banega