har ek ka hami wo musibat mein hua hai jis ka koi duniya mein nahin us ka khuda hai khamosh hun main dekh ke raftar-e-zamana hairat sifat-e-dida-e-naqsh-e-kaf-e-pa hai achchhe ho to achchhe ho bure ho to bure ho sunte ho jo aawaz wo gumbad ki sada hai ek umr hui dekhte nairang-e-zamana wo akhtar-e-qismat hun jo gardish mein raha hai kyon khun-e-jigar khaiye takmil-e-hunar mein har naqis-e-fan aaj amirush-shu'ara hai achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat ulfat wo maraz hai ki ajal jis ki dawa hai behtar hai ki baz aa sitam-ijad o jafa se ai charkh bure kaam ka anjam bura hai aasan nahin ai jaan safar mulk-e-adam ka sunta hun ki dushwar bahut rah-e-fana hai raushan hai jahan nur se us parda-nashin ke khurshid mein zarra rukh-e-raushan ki ziya hai arbab-e-karam phulte phalte hain hamesha sarsabz nihaal-e-karam-e-ahl-e-sakha hai naqis ke muafiq hai khilaf ahl-e-hunar ke badli hui 'raushan' ye zamane ki hawa hai