gila sitam ka na shikwa hai bewafai ka jigar mein dagh nihan hai teri judai ka sitam-shiar satana kisi ka khub nahin bahut kharab sar-anjam hai burai ka tadap tadap ke hua gosha-e-qafas mein tamam dil-e-asir mein arman raha rihai ka sukhan mein apne khuda-dad hai ye husn-e-butan ki khar murgh-e-chaman ko hai khush-nawai ka hawas hai kis ko yahan takht-o-taj ki 'raushan' khuda ne hum ko diya hai sharaf gadai ka