har ek kaam saliqe se shandar karo

har ek kaam saliqe se shandar karo
bure amal se bacho nekiyon se pyar karo

chaman ki taza kali bhi gulab ho jae
bahaar aane talak kuchh to intizar karo

madad gharib ki karna sawab hai pyare
azim kaam hai is ko to bar bar karo

adawaton ki faza kah rahi hai ro ro kar
watan ka chehra-e-raushan na dagh-dar karo

nahif laghar-o-miskin mustahiq sare
gale lagao bichaaron ko khub pyar karo

jahan se zulm-o-tashaddud mita ke dam lenge
isi junun ko aasab par sawar karo

qadam qadam pe badi mushkilen bhi aaengi
magar jo haq hai wahi rah ikhtiyar karo

yahi talab tujhe 'tariq' rahi hamesha se
ki qissa-ha-e-ta'alluq mein ikhtisar karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close