khubsurat to na tha dilkash magar chehra laga man ki aankhon mein jo dekha chand ka tukda laga pahle wo bad-rang sa ek kanch ka tukda laga hath mein tum ne liya to aaina achchha laga jis ka ji karta hai aa jata hai wo hansta hua kis qadar aasan mere dil ka darwaza laga duriyan sari simat kar aa gain dalan tak wo pari-rukh yak-ba-yak sine se mere aa laga shahr ke logon ke andar thi bahut apnaiyat go ki har chehra tha begana magar apna laga pyar se dali nazar jab man ke chehre ki taraf jhurriyon se pur wo chehra kis qadar pyara laga muddai khush the saza-e-maut par 'tariq' magar kyon mujhe munsif ka chehra itna afsurda laga