har ek ke tajarbe se mukhtalif hai tajraba mera na kyun sab se alag ho zindagi par tabsira mera nahin malum kitni martaba marna pada mujh ko jiye jaana mera har-haal mein hai moajiza mera meri hasti nahin mahdud hargiz chand lamhon tak azal se ta-abad jari rahega silsila mera ye mujh se mashwara kyun hai meri qismat ke bare mein tumhaara faisla jo hai wahi hai faisla mera 'munawar' pahle apne zauq par tanqid farma len mere ahbab nahaq le rahe hain jaeza mera