har ek khaliya ko aaina ghar banate hue bahut bata hun badan mo'tabar banate hue mere nuzul mein sat aasman ki gardish hai utar raha hun dilon mein bhanwar banate hue adam ki rag mein jo ek lahar hai wahin se kahin guzar gaya hun safar mukhtasar banate hue meri hatheli pe thahra hai irtiqa ka bahao jahan ki khak se apna khandar banate hue ki do jahan ke isbaat main ne phunke hain tere sadaf mein nafi ka guhar banate hue jagaun kis ke manazir ufuq ki aankhon mein ki main hi khwab hua hun nazar banate hue 'riyaz' phir se bhatakta hai jugnuon ki tarah kisi ki raat mein dil ko sharar banate hue