aati hai dam-ba-dam ye sada jagte raho jaise ki jagta hai khuda jagte raho jite raho lahu mein hararat hai jab talak aankhon mein jab talak hai ziya jagte raho dariya-e-zindagi ka nahin koi e'tibar jo so gaya wo dub gaya jagte raho bas aaj hi ki shab hai jise zindagi kahen kal ka nahin kisi ko pata jagte raho gar so gae to aankh khulegi na hashr tak ye sar-zamin hai khwab-faza jagte raho ye kya ki subh hote hi behosh ho gae shab zinda-dar ho to sada jagte raho phir aa gai hai raat sitare liye hue suraj chhupa charag jala jagte raho phir koi qafila hua gard-e-safar mein gum phir aa rahi hai bang-e-dara jagte raho baadal hawa ke dosh pe chhae hue to hain shayad baras pade ye ghata jagte raho wo raat hai ki sae bhi aaseb ho gae bujhne laga gali ka diya jagte raho khun-rang aasman hai raaten daraoni har ek samt shor macha jagte raho chaaron taraf chamakne lagi saif-e-be-niyam tara gira sahab kata jagte raho 'shahzad' lamhe lamhe mein pinhan hai zindagi har ek marhala hai naya jagte raho