har ek kitab nujumi ghalat batata hai meri hayat ka jab zaicha banata hai kisi haweli mein jab wahshaten panapti hain badan pe sabza-e-nau-rasta lahlahata hai hamari nind mein girdab banne lagte hain udas kamra ajab qahqahe lagata hai muhib tera gupha mein badan hai sahma hua bas ek jugnu hai jo hausla badhata hai na jaane kitne nae khauf dasne lagte hain wo mujh se milne ka jab silsila badhata hai use harif kaho wasl-rut ke naghmon ka darakht se jo parinde udae jata hai