bala se barq ne phunka jo aashiyane ko chaman mein kya hai pata chal gaya zamane ko kisi ka dar jo mila to kisi ke ho ke rahe kisi ke waste thukra diya zamane ko urus-e-zist unhin ko gale lagati hai jo dar par bhi sunate hain haq zamane ko khulus-e-dil na ho shamil to bandagi kya hai zamana khel samajhta hai sar jhukane ko ubhar rahi thi jahan se hayat-e-nau ki kiran bula raha tha usi samt main zamane ko badal sako to badal do hayat ke tewar lab-e-hayat taraste hain muskurane ko uthaun barq ke ehsan kis liye 'faizi' main khud hi aag laga dun na aashiyane ko