har ek ko dusre se adawat hai aaj-kal kohram zindagi ki alamat hai aaj-kal lab kholna hi jurm-e-baghawat hai aaj-kal jailon mein band shan-e-khitabat hai aaj-kal sar pe pahan ke nikle hain dastar sab magar izzat kahan kisi ki salamat hai aaj-kal andar ki tut phut hai bikhra hua hun main mujh ko bahut hi apni zarurat hai aaj-kal apni gharaz se milta hai milta hai jo koi sach puchhiye to kis ko mohabbat hai aaj-kal hum ne phir apni aas ke kheme jala diye dar-pesh hum ko ek nai hijrat hai aaj-kal mahfil bhi un ki ras na aai hamein 'wakil' be-kaif si ajib tabiat hai aaj-kal