bazm-e-sukhan hai aur sukhan-dan nae nae mahfil mein aaj aae hain mehman nae nae kin manzilon ki tak mein ye karwan-e-zist rahen nai nai hain gulistan nae nae bilkul ghalat hai kaun ye kahta hai wajd mein milte nahin junun ko bayaban nae nae saqi zara nazar tu utha dekh bazm mein pine ko aaj aae hain mehman nae nae jab tak hai sans hausla baqi rahe mera dhunda karunga dard ke darman nae nae muskan abruon ke ishaare salam-e-ishq kaise uthae jaenge ehsan nae nae kya gham jo ajnabi hai zara guftugu 'sahar' un ke liye to aap hain mehman nae nae