har ek ko har martaba hasil nahin hota

har ek ko har martaba hasil nahin hota
aaina sikandar ke muqabil nahin hota

be-lutf hai wo kaam musibat nahin jis mein
be-qadr hai wo uqda jo mushkil nahin hota

tum wasl mein diwangi-e-shauq se darna
main kashmakash-e-naz se be-dil nahin hota

kis kaam ka ai qais tera chaak-e-gareban
laila ka agar parda-e-mahmil nahin hota

main khirman-e-ummid hun tu barq-e-ghazab hai
tujh se ba-juz afsos ke hasil nahin hota

kya zulm hai be-parda use ghair ne dekha
kyun parda meri aankh ka hail nahin hota

nale se na kyun dard-e-jigar aur bhi badhta
dashne se siwa zakhm ke hasil nahin hota

hun misl-e-habab aur kahin qatra hun kahin mauj
main zauq-e-fana se kabhi ghafil nahin hota

kahte hain mere zakhm ye hans hans ke maza mein
aisa namkin khanda-e-qatil nahin hota

han ghair bhi kya dawa-e-ulfat mein hai jhuta
kahte ho kisi par koi mail nahin hota

khoya tumhein ushshaq ki be-hauslagi ne
mahshar mein tumhaara koi sail nahin hota

jada pe chale jate hain jo rast qadam hain
ye khizr juda ta-sar-e-manzil nahin hota

andaza-e-himmat se koi shai nahin badhti
yani khat-e-saghar khat-e-sahil nahin hota

har khal-e-siyah dagh-e-jigar ban nahin sakta
har qatra-e-khunab kabhi dil nahin hota

tujh ko hi magar aag lagani nahin aati
kya tur se achchha bhi koi dil nahin hota

duniya se 'wafa' sard yahan tak hai mera dil
main soz-e-jahannam ka bhi qail nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close