kaam aasan nazar aaya mujhe mushkil ho kar

kaam aasan nazar aaya mujhe mushkil ho kar
hasil-e-umr mila hasrat-e-hasil ho kar

do jahan mujh ko mile hain tapish-e-dil ho kar
ek nazar dekh to lun dida-e-bismil ho kar

kis par aata hai ye ilzam khuda khair kare
mein tumhein bhul gaya ghair pe mail ho kar

kaun si baat hai aaine mein jo mujh mein nahin
baith to jao zara mere muqabil ho kar

wahshat-e-be-kasi-e-shauq liye jati hai
naqsh-e-pa aage badha duri-e-manzil ho kar

khwahish-e-marg sar-e-rishta-e-ummid sahi
aakhir uljhe na kahin wo girah-e-dil ho kar

parda-poshi bhi maze de gai allah allah
samne aai ajal khanda-e-qatil ho kar

nashsha-e-khwab-e-adam surma-e-bedari hai
aankhen khul jati hain is parda mein ghafil ho kar

saf-e-mehshar hai mera halqa-e-aghosh nahin
kya bache jate ho aghyar mein shamil ho kar

dil mein rah kar bhi tamanna ki khabar rakhte nahin
qafile saikdon guzre pas-e-mahmil ho kar

meri nazron mein hai khurshid-e-qayamat ki numud
barson pahlu mein raha aabla-e-dil ho kar

aankhen phir uthne lagin sharm ka parda ban kar
lo wo phir aate hain rang-e-rukh-e-mahfil ho kar

gila-e-tishnagi-e-shauq hai ek tul-e-amal
mil gae khak mein aakhir lab-e-sahil ho kar

tira-bakhti se mila roz-e-jaza ko hissa
rah gaya hai rukh-e-afsos pe ek til ho kar

saf aata hai nazar tum ho mitane wale
kya kiya parda-e-taqdir ne hail ho kar

ahl-e-duniya ki taraf dast-e-dua kyon utthen
bhik aghyar se ek dost ke sail ho kar

jalwa un ka hai kalim un ke hain aiman un ka
tur kyon jalne laga beach mein hail ho kar

asar-e-ghamza-e-shirin dil-e-khusraw mein sahi
rah gaya sina-e-farhad agar sil ho kar

ai 'wafa' talea-e-nashad ko rashk aata hai
hum rahe jate hain nuqsan mein kaamil ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close