har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karan ki tarah kisi ka dhyan hai aise mein baadban ki tarah nasim-e-subh ye kahti hai kitni hasrat se koi to bagh mein mil jae baghban ki tarah hai wo tapish tere palkon ke shamiyane mein ki ab to dhup bhi lagti hai saeban ki tarah har ek mod pe milte hain ham-khayal magar kahin to koi mile mujh ko ham-zaban ki tarah fareb-e-chashm hai yaro ki ek haqiqat hai saman jo shahr ka hai shahr ke saman ki tarah hawa-e-zist ko aana hai jab tak aaegi bahaar ban ke kabhi to kabhi khizan ki tarah har ek lafz nikalta hai misl-e-tir-e-nawa zaban-e-yar hai 'arshad' kisi kaman ki tarah