garche zahir mein hain ahwal munawwar sare raqs karte hain andhere mere andar sare mauja-e-dard bana dega unhen misl-e-saba wo jo phirte hain yahan surat-e-sarsar sare dagh-e-dil mere farozan hain zamin par aise chhupte phirte hain falak par mah-o-akhtar sare mere dariya-e-sukhan se hai ilaqa kaisa wo to payab nadi ke hain shanawar sare tishnagi zagh ne apni to bujha li pal mein haif gagar mein pade rah gae kankar sare kaun banta hai safina yahan kis ki khatir yun to maujud hain dariya mein shanawar sare rah-rau aur bhi duniya mein hain 'arshad' lekin meri hi rah mein padte hain samundar sare