har ek lamha-e-maujud intizar mein tha main agle pal ki tarah waqt ke ghubar mein tha har ek ufuq pe musalsal tulua hota hua main aaftab ke manind rahguzar mein tha khud apne aap mein uljha hua tha mera wajud main chaak chaak gareban ke tar tar mein tha jo us ki khush-sukhani tak rasai chahti thi mera wajud bhi lafzon ki is qatar mein tha bil-akhir aa hi gai ikhtilaf ki saat main jaanta hun tu is pal ke intizar mein tha