har ek baat teri be-sabaat kitni hai palatna baat ko dam bhar mein baat kitni hai abhi to sham hui hai abhi to aae ho abhi se puchh rahe ho ki raat kitni hai wo sunte sunte jo ghabrae haal-e-dil bole bayan kitni hui wardat kitni hai tere shahid ko dulha bana hua dekha rawan janaze ke pichhe baraat kitni hai kisi tarah nahin katti nahin guzar chukti ilahi sakht ye qaid-e-hayat kitni hai hamari jaan hai qimat to dil hai baiana giran-baha lab-e-nazuk ki baat kitni hai jo shab ko khilte hain ghunche wo din ko jhadte hain bahaar-e-bagh-e-jahan be-sabaat kitni hai mahinon ho gae dekhi nahin hai subh-e-ummid kise khabar ye musibat ki raat kitni hai udu ke samne ye dekhna hai hum ko bhi kidhar ko hai nigah-e-iltifat kitni hai ghazal likhen bhi to kya khak hum likhen 'bekhud' zamin dekhiye ye wahiyat kitni hai