har ek lamha mujhe thahra hua mahsus hota hai mujhe sara jahan ek ratjaga mahsus hota hai sunai kuchh nahin deta dikhai kuchh nahin deta magar chaaron taraf ek jamghata mahsus hota hai tera hi nam leta hun to phir mujh ko wajud apna hawaon par likha harf-e-dua mahsus hota hai meri palkon pe shabnam gir rahi hai nind ki lekin mujhe har ek saya jagta mahsus hota hai hazaron sal pahle ki shanasai nahin bhula mujhe har aadmi dekha hua mahsus hota hai mujhe apna hi qad lagta hai kyun uncha pahadon se mujhe apna ye saya kyun bada mahsus hota hai na jaane kaun si manzil pe aa thahra hun main 'anjum' jahan har ek sannata sada mahsus hota hai