ek dafa us ko to yun bhi aazmana hai mujhe aansuon ko aankh ka pani batana hai mujhe jaan bahut itra raha hai ab to aaina mera aao aaine ko aaina dikhana hai mujhe khud mujhe to banna hai misra-e-ula sher mein tum ko us ka misra-e-sani banana hai mujhe rukh se zulfon ko hatate aao chhat pe raat ko asl chehra chand ka sab ko dikhana hai mujhe us ne bola chhod dun cigarette main ab to yani ki honth se ab us ke honton ko lagana hai mujhe ab ziyaada ho chuka hai rona-dhona hijr ka ab to is ke baad ka manzar dikhana hai mujhe kyon kahun mujh ko mohabbat ruh ki hai tum se jaan aakhirash tum ko to banhon mein hi lana hai mujhe