har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai hamein to zindagi paiham safar malum hoti hai wahi tanhai ka aalam wahi be-raunaqi har su bayaban teri khamoshi bhi ghar malum hoti hai hamare hasidon ki chaal aakhir rang le aai bahut badli hui un ki nazar malum hoti hai masiha bhul ja teri dawa kuchh kaam aaegi ki har tadbir ab to be-asar malum hoti hai agar do waqt ki roti hi mil jae ghanimat hai miyan faqe mein guthli bhi samar malum hoti hai andheri raat mein ai jaan-e-jaan bhatke musafir ko diye ki lau bhi jaise ek qamar malum hoti hai