har ek ne kaha kyun tujhe aaram na aaya sunte rahe hum lab pe tera nam na aaya diwane ko takti hain tere shahar ki galiyan nikla to idhar laut ke bad-nam na aaya mat puchh ki hum zabt ki kis rah se guzre ye dekh ki tujh par koi ilzam na aaya kya jaaniye kya bit gai din ke safar mein wo muntazir-e-sham sar-e-sham na aaya ye tishnagiyan kal bhi thin aur aaj bhi 'zaidi' us hont ka saya bhi mere kaam na aaya