hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain

hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain
aansu bhi to maon jaisi baaten karte hain

rasta dekhne wali aankhon ke anhone-khwab
pyas mein bhi dariyaon jaisi baaten karte hain

khud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin pate hain
phir bhi log khudaon jaisi baaten karte hain

ek zara si jot ke bal par andhiyaron se bair
pagal diye hawaon jaisi baaten karte hain

rang se khushbuon ka nata tutta jata hai
phul se log khizaon jaisi baaten karte hain

hum ne chup rahne ka ahd kya hai aur kam-zarf
hum se sukhan-araon jaisi baaten karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close