har ek padaw pe rahne laga ye dar mujh ko ki dhund le na kahin phir se mera ghar mujh ko main phul sare hawaon ko saunp deta hun mere khulus ne rakkha hai be-samar mujh ko usi ke hukm pe lahron se rasm-o-rah ki thi wahi jo dhund raha hai bhanwar bhanwar mujh ko main apne taur tariqe badal nahin sakta ki apne aap mein rahna hai be-khatar mujh ko chali hawa to sutunon ka zo'm tut gaya bichha ke let gae mere baam-o-dar mujh ko