kash main bhul sakun aaj hi chehra tera bujhne pae na magar ishq ka shoala tera koi surat koi manzil na rahi yaad mujhe han agar yaad raha hai to wo rasta tera tu kahin khoya gaya ho to main dhundun tujh ko sabt hai dil pe mere naqsh-e-kaf-e-pa tera main ne chaha tha parastish ki hadon tak tujh ko teri bad-khui ne dhundla diya naqsha tera panw gade raha barson main darakhton ki tarah aakhir-e-kar baha le gaya dariya tera maut ki meri dua karte the aur kahte the dost hum se dekha nahin jata hai tamasha tera hai koi aisa ki jo us ko batae 'shohrat' chashma-e-ab-e-baqa mar gaya pyasa tera