har ek pal mujhe dukh dard be-shumar mile khuda kabhi to mere dil ko bhi qarar mile zamana dushman-e-jaan ho gaya ye gham hai magar mera nasib ki khanjar ba-dast-e-yar mile kya hogi is se bhi badh kar kisi ki mahrumi jise nasib mein ta-marg intizar mile ai aalamin ke raaziq bata kahan jaun mere watan mein mujhe jab na rozgar mile rahe wo zinda ya mar jae farq kya hai jise ghutan zamane mein aur qabr mein fishaar mile main muskuraata magar di na ashk ne mohlat khushi jab ek mili sath gham hazar mile jo jhut bole hukumat se dad le jae jo bole sach use tohfe mein auj-e-dar mile falak pe likkhun tera nam mere nam ke sath agar kabhi mujhe taron par ikhtiyar mile main jin se dur hi rahna pasand karta tha wo zindagi ki masafat mein bar bar mile khushi se 'abr' har ek rabt munqata kar do agar kahi koi duniya mein sogwar mile