lafz yun khamushi se ladte hain jis tarah gham hansi se ladte hain jaanwar jaanwar se ladta hai aadmi aadmi se ladte hain maut ki aarzu mein diwane umr-bhar zindagi se ladte hain jis se hai dosti ka hukm hamein hum bhi pagal usi se ladte hain dusron se kabhi nahin ladte log jo bhi khudi se ladte hain ye andheron ke hukmaran sare aaj bhi raushni se ladte hain jo ana ke mariz hote hain har nae din kisi se ladte hain aur bhi log jab hain basti mein aap kyun kar hami se ladte hain un ko mazdur kahna thik nahin log jo muflisi se ladte hain 'abr' be-kar log puchhte hain aap bhi kya kisi se ladte hain