har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla kitab ka na koi dars mo'tabar nikla nafas tamam hua dastan khatm hui jo tha tawil wahi harf mukhtasar nikla jo gard sath na udti safar na yun katta ghubar-e-rahguzar mauj-e-baal-o-par nikla mujhe bhi kuchh nae teshe sambhaalne hi pade purane khol ko jab wo bhi tod kar nikla faza kushada nahin qatl-gah ki ye kahan mere lahu ka parinda udan par nikla wo aadmi ki jo mahmil tha aaftabon ka ba-qadr-e-yak-do kaf-e-khak-e-rahguzar nikla ye raat jis ke liye main ne jag kar kati mila wo shakhs to khwabon ka ham-safar nikla udha di chadar-e-ismat ise khayalon ne har ek lafz zaban se barahna-sar nikla 'faza' tum uljhe rahe fikr o falsafe mein yahan ba-nam-e-ishq wahan qura-e-hunar nikla