har ek rah se aage hai khwab ki manzil tere huzur se badh kar ghayab ki manzil nahin hai aap hi maqsud apna jauhar-e-zat ki aaftab nahin aaftab ki manzil kuchh aisa ranj diya bachpane ki ulfat ne phir us ke baad na aai shabab ki manzil musafiron ko barabar nahin zaman-o-makan hawa ka ek qadam aur habab ki manzil mohabbaton ke ye lamhe daregh kyun kije bhugat hi lenge jo aai hisab ki manzil milegi baada-gusaron ko shaikh kya jaane gunah ki rah se ho kar sawab ki manzil masam nach rahe hain muamlat ke liye guzar gai hai sawal-o-jawab ki manzil mili jo aas to sab marhale hue aasan nahin hai koi bhi manzil sarab ki manzil mizaj-e-dard ko aasudgi se ras karo kahan milegi tumhein iztirab ki manzil rah-e-junun mein talab ke siwa nahin 'sayyad' agarche tai ho khuda ki kitab ki manzil