har ek raste ka ham-safar raha hun main tamam umr hi aashufta-sar raha hun main qadam qadam pe wahan qurbaten thin aur yahan hujum-e-shahr se tanha guzar raha hun main pukara jab mujhe tanhai ne to yaad aaya ki apne sath bahut mukhtasar raha hun main ye kaisi rifaten aaina-e-nigah mein hain kisi sitare pe jaise utar raha hun main main raushni hi ki wahdaniyat ka qail hun mohabbaton hi ka paigham-bar raha hun main main shab-parast nahin hun yahi khata hai meri ada-shanas-e-jamal-e-sahar raha hun main yahan bas ek naya tajraba hua 'farigh' ki lamhe lamhe ko mahsus kar raha hun main