hawas lut liye shorish-e-tamanna ne hari ruton ke liye ban gae hain diwane badalte der nahin lagti ab haqiqat ko jo kal ki baaten hain wo aaj ke hain afsane hai ab to qat-e-talluq ki ek hi surat khuda kare tu hamein dekh kar na pahchane jo tere kuche se nikle to ek tamasha the ajib nazron se dekha hai hum ko duniya ne safar mein koi kisi ke liye thaharta nahin na mud ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne khizan ne dast-e-basarat ko das liya 'farigh' chale the qafla-e-fasl-e-gul ko thahrane