har ek samt hai ek jit haar ka mausam ab ek khwab sa lagta hai pyar ka mausam isi ko gardish-e-lail-o-nahaar kahte hain kabhi khizan hai kabhi hai bahaar ka mausam chaman mein dhum machi hai ki fasl-e-gul aai yahi hai daman-e-sad-tar-tar ka mausam ab us ko yaad dilane ka faeda hi nahin wo bhul bhi chuka qaul-o-qarar ka mausam har ek shikast pe josh-e-amal mein shiddat la mitega dida-e-khunaba-bar ka mausam na aane de kabhi pa-e-sabaat mein laghzish sada mila hai kise ikhtiyar ka mausam rihai milti hai yaro na jaan jati hai azab-e-jaan hai ye intizar ka mausam daraaz kitni hi shab ho guzar hi jaegi palat ke aaega didar-e-yar ka mausam jo lauh-e-dil pe lagane chale ho dagh pe dagh kabhi to aaega un ke shumar ka mausam hai ab ye haal urus-ul-bilad ka 'azhar' thahar gaya hai wahin gir-o-dar ka mausam