jaane kitnon ke liye rashk ka mehwar thahra tera zakhmi bhi to qismat ka sikandar thahra lazzat dard ki badhti hi chali aati hai tarab-angez bahut ek hi nishtar thahra bhar gain zehn mein ranaiyan ek jalwe se ho kahin jaise koi pariyon ka lashkar thahra kya shikast us ko bhala gardish-e-dauran degi khak ka dher hi jis ke liye bistar thahra meri mehman-nawazi ka tha charcha aisa jo bhi tufan-e-bala aaya mere ghar thahra khasta-haali se jo bauna nazar aata tha tumhein waqt jab aaya to phir kitna qad-awar thahra nazr-e-jaan rah-e-mohabbat mein bahut aasan hai shart mere liye kuchh mushkil-o-bartar thahra gar umand aae to gharqab na ho shahr tamam ye jo aankhon mein hai ashkon ka samundar thahra kaise 'azhar' kisi suraj ko salami dega kyon na ho apne zamane ka qalandar thahra