har ek sans se sine mein ghaw lagta hai

har ek sans se sine mein ghaw lagta hai
faza mein aaj bhi kal sa tanaw lagta hai

ye thik hai ye samundar hai pur-sukun sa magar
nahin udhar ka jidhar ka bahaw lagta hai

muwafaqat hi bina ahliyat ki ho jis mein
mujhe to dhong wo sara chunaw lagta hai

main jis sahar ke taqaze se jag utha us ka
kuchh ab bhi shab ke safar mein padaw lagta hai

ye barishon ki nahin rut agar to kyon 'asim'
hawa mein aisa nami ka dabaw lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close